exams the aanewale, tension ke badal chhanewale
exams the aanewale
tension ke badal chhanewale
yu toh maine pada tha sab kuch
par darr se me bhool rha tha kuch kuch
examination hall me paucha jab
darr mera badh gya tab
question paper hath me aaya
ankho ke aggey andhera chhaya
teacher ko dekh udd gye hosh
khatam hogya cheating ka josh
tension meri badti rahi
time ki ghadi chlti gayi
shant kiya fir maine khudko
likhta gya yaad aya jo mujhko
dheere dheere me aggey bada
yaad aane laga jo tha pada
kisi tarah khatam hua yeh exam
hua me fir thoda calm
par marks isme na aaye kuch khaas
padegi daant hua mujhe ehsaas
mummy ne jo daant lagayi
papa ne padne ki ehmiyat smjhayi
maine fir khoob dhyan lgaya
or jamkar kari saari padai
tuition me dhyan se sun ne lga me
masti thodi kam krne lga me
notes bhi acche se revise kre
likh likh ke practice krne lga me
aaya fir final imtehaan
me bilkul na hua pareshan
maine har question pae lgaya dhyan
or ache marks se kiya fateh yeh maidan
sab students ko me kru yehi advise
ki exam se pehle zaroor kro revise